dil-e-vahshī kā afsāna kahegā tum bhī sun lenā
junūñ ke raaz dīvāna kahegā tum bhī sun lenā
vo dil jis se miTā.e de rahe ho yaad tum apnī
zamāna us ko vīrāna kahegā tum bhī sun lenā
zabān-e-ḳhalq kā shāyad na tum ko e'tibār aa.e
ḳhud apnā haal dīvāna kahegā tum bhī sun lenā
dil-e-nazzāra jo har baat us husn-e-mujassam se
ba-andāz-e-kalīmāna kahegā tum bhī sun lenā
'munavvar' bahkī bahkī guftugū yūñhī kiye jaao
tumheñ har shaḳhs dīvāna kahegā tum bhī sun lenā
dil-e-wahshi ka afsana kahega tum bhi sun lena
junun ke raaz diwana kahega tum bhi sun lena
wo dil jis se miTae de rahe ho yaad tum apni
zamana us ko virana kahega tum bhi sun lena
zaban-e-KHalq ka shayad na tum ko e'tibar aae
KHud apna haal diwana kahega tum bhi sun lena
dil-e-nazzara jo har baat us husn-e-mujassam se
ba-andaz-e-kalimana kahega tum bhi sun lena
'munawwar' bahki bahki guftugu yunhi kiye jao
tumhein har shaKHs diwana kahega tum bhi sun lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.