dil-e-wahshi se pyar kaun kare
dil-e-vahshī se pyaar kaun kare
jabr ko iḳhtiyār kaun kare
rā.egāñ saarī mehnateñ hoñgī
jam.a dāman ke taar kaun kare
ashk-e-ḳhūnīñ haiñ gul khilāne ko
intizār-e-bahār kaun kare
ham na hoñ gar sharīk-e-mahfil-e-nāz
un ko phir sharmsār kaun kare
ham ko ḳhud intizār hai apnā
aap kā intizār kaun kare
dil pe apne nahīñ hai jab qaabū
un se qaul-o-qarār kaun kare
ham to lāla-ruḳhoñ se baaz aa.e
siine ko dāġhdār kaun kare
ham hī shikvoñ se baaz aa.eñ 'nadīm'
un ko phir ashk-bār kaun kare
dāġh-e-dil mat kured ai 'naqvī'
sair-e-zaḳhm-e-bahār kaun kare
dil-e-wahshi se pyar kaun kare
jabr ko iKHtiyar kaun kare
raegan sari mehnaten hongi
jama daman ke tar kaun kare
ashk-e-KHunin hain gul khilane ko
intizar-e-bahaar kaun kare
hum na hon gar sharik-e-mahfil-e-naz
un ko phir sharmsar kaun kare
hum ko KHud intizar hai apna
aap ka intizar kaun kare
dil pe apne nahin hai jab qabu
un se qaul-o-qarar kaun kare
hum to lala-ruKHon se baz aae
sine ko daghdar kaun kare
hum hi shikwon se baz aaen 'nadim'
un ko phir ashk-bar kaun kare
dagh-e-dil mat kured ai 'naqwi'
sair-e-zaKHm-e-bahaar kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.