dil-e-zinda KHud rahnuma ho gaya
dil-e-zinda ḳhud rahnumā ho gayā
ye qibla hī qibla-numā ho gayā
huā rañg-e-duniyā meñ kyuuñ shefta
tujhe bul-havas haa.e kyā ho gayā
ye parda hī thā parda-posh-e-nazar
hijāb uTh gayā ḳhud-numā ho gayā
yahī ḳhud-shanāsī ḳhudā.ī huī
ḳhudī miT ga.ī jab ḳhudā ho gayā
anal-haq hual-haq jo aayā nazar
ye shorīda-sar ḳhud-numā ho gayā
ta.arruz hual-haq jo aayā nazar
ta.ashshuq meñ sab faisla ho gayā
tajallī huī jis ko tauhīd kī
vo qaid-e-duī se rihā ho gayā
ye kyā chiiz thā 'sāqī' hech-kas
tire fazl se kyā se kyā ho gayā
dil-e-zinda KHud rahnuma ho gaya
ye qibla hi qibla-numa ho gaya
hua rang-e-duniya mein kyun shefta
tujhe bul-hawas hae kya ho gaya
ye parda hi tha parda-posh-e-nazar
hijab uTh gaya KHud-numa ho gaya
yahi KHud-shanasi KHudai hui
KHudi miT gai jab KHuda ho gaya
anal-haq hual-haq jo aaya nazar
ye shorida-sar KHud-numa ho gaya
tarruz hual-haq jo aaya nazar
tashshuq mein sab faisla ho gaya
tajalli hui jis ko tauhid ki
wo qaid-e-dui se riha ho gaya
ye kya chiz tha 'saqi' hech-kas
tere fazl se kya se kya ho gaya
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-55 p-52)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.