dil-fasurda ye kisi ka nahin dekha jata
dil-fasurda ye kisi ka nahin dekha jata
Shashank Singh Thakur Saahil
MORE BYShashank Singh Thakur Saahil
dil-fasurda ye kisī kā nahīñ dekhā jaatā
aañkh meñ ashk kā dariyā nahīñ dekhā jaatā
zindagī terā yaqīñ kaise karūñ maiñ āḳhir
tujh se ik shaḳhs bhī hañstā nahīñ dekhā jaatā
bevafā.ī to chalo Thiik hai lekin tere
sar tale ġhair kā shānā nahīñ dekhā jaatā
tujh pe ilzām lagā sakte haiñ lekin ham se
terā dāman kabhī mailā nahīñ dekhā jaatā
maañg baiThā vo khilaunā to maiñ dil de aayā
tifl to tifl hai rotā nahīñ dekhā jaatā
chand aise bhī masīhā haiñ mere ḳhitte meñ
jin se bīmār ko achchhā nahīñ dekhā jaatā
maiñ ġham-e-ishq se āzād huā chāhtā huuñ
ab tamannāoñ kā lāsha nahīñ dekhā jaatā
zaḳhm par zaḳhm hameñ jis ne diye ai 'sāhil'
us se ab dard hamārā nahīñ dekhā jaatā
dil-fasurda ye kisi ka nahin dekha jata
aankh mein ashk ka dariya nahin dekha jata
zindagi tera yaqin kaise karun main aaKHir
tujh se ek shaKHs bhi hansta nahin dekha jata
bewafai to chalo Thik hai lekin tere
sar tale ghair ka shana nahin dekha jata
tujh pe ilzam laga sakte hain lekin hum se
tera daman kabhi maila nahin dekha jata
mang baiTha wo khilauna to main dil de aaya
tifl to tifl hai rota nahin dekha jata
chand aise bhi masiha hain mere KHitte mein
jin se bimar ko achchha nahin dekha jata
main gham-e-ishq se aazad hua chahta hun
ab tamannaon ka lasha nahin dekha jata
zaKHm par zaKHm hamein jis ne diye ai 'sahil'
us se ab dard hamara nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.