dil gae aafat aai jaanon par
dil ga.e aafat aa.ī jānoñ par
ye fasāna rahā zabānoñ par
'ishq meñ hosh o sabr sunte the
rakh ga.e haath so to kānoñ par
garche insān haiñ zamīñ se vale
haiñ dimāġh un ke āsmānoñ par
shahr ke shoḳh sāda-rū laḌke
zulm karte haiñ kyā javānoñ par
'arsh o dil donoñ kā hai paaya buland
sair rahtī hai un makānoñ par
jab se bāzār meñ hai tujh sī matā'
bhiiḌ hī rahtī hai dukānoñ par
log sar dene jaate haiñ kab se
yaar ke paañv ke nishānoñ par
kajī aubāsh kī hai vo dar-band
Daale phirtā hai band shānoñ par
koī bolā na qatl meñ mere
mohr kī thī magar dahānoñ par
yaad meñ us ke sāq-e-sīmīñ kī
de de mārūñ huuñ haath rānoñ par
the zamāne meñ ḳharchī jin kī rupe
phāñsā karte haiñ un ko aanoñ par
ġham o ġhussa hai hisse meñ mere
ab ma'īshat hai un hī khānoñ par
qisse duniyā meñ 'mīr' bahut sune
na rakho gosh un fasānoñ par
dil gae aafat aai jaanon par
ye fasana raha zabanon par
'ishq mein hosh o sabr sunte the
rakh gae hath so to kanon par
garche insan hain zamin se wale
hain dimagh un ke aasmanon par
shahr ke shoKH sada-ru laDke
zulm karte hain kya jawanon par
'arsh o dil donon ka hai paya buland
sair rahti hai un makanon par
jab se bazar mein hai tujh si mata'
bhiD hi rahti hai dukanon par
log sar dene jate hain kab se
yar ke panw ke nishanon par
kaji aubash ki hai wo dar-band
Dale phirta hai band shanon par
koi bola na qatl mein mere
mohr ki thi magar dahanon par
yaad mein us ke saq-e-simin ki
de de marun hun hath ranon par
the zamane mein KHarchi jin ki rupe
phansa karte hain un ko aanon par
gham o ghussa hai hisse mein mere
ab ma'ishat hai un hi khanon par
qisse duniya mein 'mir' bahut sune
na rakho gosh un fasanon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.