dil gham-e-ishq ke izhaar se katraata hai
dil ġham-e-ishq ke iz.hār se katrātā hai
aah ġham-ḳhvār ki ġham-ḳhvār se katrātā hai
ye samajh kar ke jafāoñ meñ mazā paatā hai
vo sitamgar mire āzār se katrātā hai
ho gayā us pe bhī kuchh us kī shikāyat kā asar
ab masīhā bhī jo bīmār se katrātā hai
ho rahā hai mujhe takmīl-e-mohabbat kā gumāñ
ishq ab husn ke dīdār se katrātā hai
dil-e-parvarda-e-ġham ḳhushiyoñ se yuuñ jaatā hai
'soz' ik baal juuñ aġhyār se katrātā hai
dil gham-e-ishq ke izhaar se katraata hai
aah gham-KHwar ki gham-KHwar se katraata hai
ye samajh kar ke jafaon mein maza pata hai
wo sitamgar mere aazar se katraata hai
ho gaya us pe bhi kuchh us ki shikayat ka asar
ab masiha bhi jo bimar se katraata hai
ho raha hai mujhe takmil-e-mohabbat ka guman
ishq ab husn ke didar se katraata hai
dil-e-parwarda-e-gham KHushiyon se yun jata hai
'soz' ek baal jun aghyar se katraata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.