dil gham se tere laga gae hum
dil ġham se tire lagā ga.e ham
kis aag se ghar jalā ga.e ham
mātam-kada-e-jahāñ meñ chuuñ sham.a
ro ro ke jigar bahā ga.e ham
mānind-e-habāb is jahāñ meñ
kyā aa.e the aur kyā ga.e ham
khoyā gayā is meñ go dil apnā
par yaar tujhe to pā ga.e ham
aatā hai yahī to ham ko ronā
yuuñ maut kā ġham bhulā ga.e ham
afsāna-e-sarguzisht chuuñ sham.a
ro ro ke bahut sunā ga.e ham
thā ham meñ aur us meñ vo jo parda
so us ko 'hasan' uThā ga.e ham
dil gham se tere laga gae hum
kis aag se ghar jala gae hum
matam-kada-e-jahan mein chun shama
ro ro ke jigar baha gae hum
manind-e-habab is jahan mein
kya aae the aur kya gae hum
khoya gaya is mein go dil apna
par yar tujhe to pa gae hum
aata hai yahi to hum ko rona
yun maut ka gham bhula gae hum
afsana-e-sarguzisht chun shama
ro ro ke bahut suna gae hum
tha hum mein aur us mein wo jo parda
so us ko 'hasan' uTha gae hum
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.