dil ghamon ka maKHzan hai hasraton ka maskan hai
dil ghamon ka maKHzan hai hasraton ka maskan hai
Rashid Shahjahanpuri
MORE BYRashid Shahjahanpuri
dil ġhamoñ kā maḳhzan hai hasratoñ kā maskan hai
phir bhī sāya-e-ummīd us meñ sāya-afgan hai
kohnagī ke dāman meñ dahr kā nayā-pan hai
qasr hai jo madfan thā baaġh thā vo jo ban hai
muḳhtasar agar kiije sharh-e-lafz ulfat kī
raat din kī uljhan hai umr bhar kī sulgan hai
ḳhūn-e-dil se likkhā hai mahzar-e-vafā dekho
kis qadar murassā hai kis qadar muzayyan hai
kam bisāt parvāna soz-e-ishq kyā jaane
jal bujhā vo ik lau par yaañ mudām sulgan hai
shauq-e-dil hudī-ḳhvāñ hai kārvān-e-mastī meñ
kis ko fikr-e-rahbar hai kis ko ḳhauf-e-rahzan hai
apne ḳhush-nasīboñ kā haal bhī kabhī sun lo
maut muñh churātī hai zindagī ajīran hai
saarī umr tarse haiñ us ke ik tabassum ko
kis qadar hayā-parvar zindagī kī dulhan hai
ham ḳhulūs ke bande ham vafā ke dīvāne
ai 'rashīd' kyā jāneñ dostī bhī ik fan hai
dil ghamon ka maKHzan hai hasraton ka maskan hai
phir bhi saya-e-ummid us mein saya-afgan hai
kohnagi ke daman mein dahr ka naya-pan hai
qasr hai jo madfan tha bagh tha wo jo ban hai
muKHtasar agar kije sharh-e-lafz ulfat ki
raat din ki uljhan hai umr bhar ki sulgan hai
KHun-e-dil se likkha hai mahzar-e-wafa dekho
kis qadar murassa hai kis qadar muzayyan hai
kam bisat parwana soz-e-ishq kya jaane
jal bujha wo ek lau par yan mudam sulgan hai
shauq-e-dil hudi-KHwan hai karwan-e-masti mein
kis ko fikr-e-rahbar hai kis ko KHauf-e-rahzan hai
apne KHush-nasibon ka haal bhi kabhi sun lo
maut munh churaati hai zindagi ajiran hai
sari umr tarse hain us ke ek tabassum ko
kis qadar haya-parwar zindagi ki dulhan hai
hum KHulus ke bande hum wafa ke diwane
ai 'rashid' kya jaanen dosti bhi ek fan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.