dil ghani hai to muflisi kya hai
dil ġhanī hai to muflisī kyā hai
ghar meñ allāh ke kamī kyā hai
ik talavvun hai do mizājoñ kā
dostī kyā hai dushmanī kyā hai
zid kī hai aur baat ai nāseh
varna baat aap kī burī kyā hai
husn hai be-niyāz jalvoñ se
chāñd kyā jaane chāñdnī kyā hai
jaan kī shart hai mohabbat meñ
itnī sī baat baat hī kyā hai
har nafas yaad hai tirī ai dost
aur manshā-e-bandagī kyā hai
kyā farishte batā.eñge 'afqar'
ham se pūchho ki aadmī kyā hai
dil ghani hai to muflisi kya hai
ghar mein allah ke kami kya hai
ek talawwun hai do mizajon ka
dosti kya hai dushmani kya hai
zid ki hai aur baat ai naseh
warna baat aap ki buri kya hai
husn hai be-niyaz jalwon se
chand kya jaane chandni kya hai
jaan ki shart hai mohabbat mein
itni si baat baat hi kya hai
har nafas yaad hai teri ai dost
aur mansha-e-bandagi kya hai
kya farishte bataenge 'afqar'
hum se puchho ki aadmi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.