dil-gawara chubhan hi marti hai
dil-gavāra chubhan hī martī hai
ab tumhārī lagan hī martī hai
qadr kyā da.avā-e-anal-haq kī
fikr-e-dār-o-rasan hī martī hai
ruuh kī bahs kis liye ki yahāñ
ārzū-e-badan hī martī hai
shām-e-gosha-nashīnī kyā kiije
sub.h-e-sair-e-chaman hī martī hai
is kahānī meñ ik rivāyat se
kyuuñ koī gul-badan hī martī hai
dil-gawara chubhan hi marti hai
ab tumhaari lagan hi marti hai
qadr kya dawa-e-anal-haq ki
fikr-e-dar-o-rasan hi marti hai
ruh ki bahs kis liye ki yahan
aarzu-e-badan hi marti hai
sham-e-gosha-nashini kya kije
subh-e-sair-e-chaman hi marti hai
is kahani mein ek riwayat se
kyun koi gul-badan hi marti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.