dil guman tha gumaniyan the hum
dil gumāñ thā gumāniyāñ the ham
haañ miyāñ dāstāniyāñ the ham
ham sune aur sunā.e jaate the
raat bhar kī kahāniyāñ the ham
jaane ham kis kī buud kā the subūt
jaane kis kī nishāniyāñ the ham
chhoḌte kyuuñ na ham zamīñ apnī
āḳhirash āsmāniyāñ the ham
zarra bhar bhī na thī numūd apnī
aur phir bhī jahāniyāñ the ham
ham na the ek aan ke bhī magar
jāvedāñ jāvidāniyāñ the ham
roz ik ran thā tīr-o-tarkash bin
the kamīñ aur kamāniyāñ the ham
arġhavānī thā vo piyāla-e-nāf
ham jo the urġhavāniyañ the ham
nār-e-pistān thī vo qattāla
aur havas-darmiyāniyāñ the ham
nā-gahāñ thī ik aan aan ki thī
ham jo the nāgahāniyāñ the ham
dil guman tha gumaniyan the hum
han miyan dastaniyan the hum
hum sune aur sunae jate the
raat bhar ki kahaniyan the hum
jaane hum kis ki bud ka the subut
jaane kis ki nishaniyan the hum
chhoDte kyun na hum zamin apni
aaKHirash aasmaniyan the hum
zarra bhar bhi na thi numud apni
aur phir bhi jahaniyan the hum
hum na the ek aan ke bhi magar
jawedan jawidaniyan the hum
roz ek ran tha tir-o-tarkash bin
the kamin aur kamaniyan the hum
arghawani tha wo piyala-e-naf
hum jo the urghawaniyan the hum
nar-e-pistan thi wo qattala
aur hawas-darmiyaniyan the hum
na-gahan thi ek aan aan ki thi
hum jo the nagahaniyan the hum
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 141)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.