dil hai ada-shanas nazar pairahan-shanas
dil hai adā-shanās nazar pairahan-shanās
kah duuñ maiñ rāz-e-dil vo agar hoñ suḳhan-shanās
muzhda haiñ fasl-e-gul kā tirī āh-o-zāriyāñ
ai tā.ir-e-asīr bahār-e-chaman-shanās
dāmān-e-dil darīda sahī ai bahār-e-husn
ham haiñ jahān-e-‘ishq meñ gul-pairahan-shanās
nā-vāqif-e-adā to nahīñ ai qabā-e-vaqt
ham bā-shu’ūr log shikan-dar-shikan-shanās
kaisā hayā kā rang vahāñ pās-e-vaz’ kyoñ
ḳhalvat bhī ho ga.ī ho jahāñ anjuman-shanās
lā.eñgī jū-e-shīr faqat tesha-kāmiyāñ
ho jā.egā mizāj agar kohkan-shanās
'abrār' 'ilm-e-she'r-o-suḳhan kī talab rahe
har chand ḳhāl-ḳhāl haiñ ab fikr-o-fan-shanās
dil hai ada-shanas nazar pairahan-shanas
kah dun main raaz-e-dil wo agar hon suKHan-shanas
muzhda hain fasl-e-gul ka teri aah-o-zariyan
ai tair-e-asir bahaar-e-chaman-shanas
daman-e-dil darida sahi ai bahaar-e-husn
hum hain jahan-e-‘ishq mein gul-pairahan-shanas
na-waqif-e-ada to nahin ai qaba-e-waqt
hum ba-shu’ur log shikan-dar-shikan-shanas
kaisa haya ka rang wahan pas-e-waz’ kyon
KHalwat bhi ho gai ho jahan anjuman-shanas
laengi ju-e-shir faqat tesha-kaamiyan
ho jaega mizaj agar kohkan-shanas
'abrar' 'ilm-e-she'r-o-suKHan ki talab rahe
har chand KHal-KHal hain ab fikr-o-fan-shanas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.