dil hai alag mizaj ke do bhaiyon ka ghar
dil hai alag mizāj ke do bhā.iyoñ kā ghar
lagtā hai sirf mujh ko ye tanhā.iyoñ kā ghar
beTī ga.ī hai ghar se lagā ham ko bas yahī
jaise chalā gayā koī amrā.iyoñ kā ghar
duurī banā lī un se yahī sochne ke baad
ghar un kā thā mire liye rusvā.iyoñ kā ghar
jab se milī hai un se nazar restaurant meñ
dil lag rahā hai pyaar kī shahnā.iyoñ kā ghar
dil hai alag mizaj ke do bhaiyon ka ghar
lagta hai sirf mujh ko ye tanhaiyon ka ghar
beTi gai hai ghar se laga hum ko bas yahi
jaise chala gaya koi amraiyon ka ghar
duri bana li un se yahi sochne ke baad
ghar un ka tha mere liye ruswaiyon ka ghar
jab se mili hai un se nazar restaurant mein
dil lag raha hai pyar ki shahnaiyon ka ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.