dil hai apna na ab jigar dar-pesh
dil hai apnā na ab jigar dar-pesh
hai tirī chashm-e-mo'atabar dar-pesh
log bīmār kyuuñ na paḌ jaate
jab ki thā husn-e-chāra-gar dar-pesh
maiñ huā chāhtā thā be-qābū
zindagī ho ga.ī magar dar-pesh
baat kahnī hai aur is meñ bhī
lafz-o-ma.anī kā hai safar dar-pesh
ahl-e-naqd-o-nazar pareshāñ haiñ
jab se 'jāmī' kā hai hunar dar-pesh
dil hai apna na ab jigar dar-pesh
hai teri chashm-e-mo'atabar dar-pesh
log bimar kyun na paD jate
jab ki tha husn-e-chaara-gar dar-pesh
main hua chahta tha be-qabu
zindagi ho gai magar dar-pesh
baat kahni hai aur is mein bhi
lafz-o-mani ka hai safar dar-pesh
ahl-e-naqd-o-nazar pareshan hain
jab se 'jami' ka hai hunar dar-pesh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.