dil hai apna ranj-e-furqat mein sharik
dil hai apnā ranj-e-furqat meñ sharīk
ḳhud aziyyat ḳhud aziyyat meñ sharīk
hai ġham-e-'ishq apnī qismat meñ sharīk
hai yahī har ek hālat meñ sharīk
yaad hai terī har aafat meñ sharīk
kaun hotā hai musībat meñ sharīk
ab to dil ke saath merī jaan bhī
ho ga.ī terī mohabbat meñ sharīk
husn-e-kāmil kā kamāl-e-ishq dekh
kis ko vo kartā mohabbat meñ sharīk
nañg-āqā.ī hai merī bandagī
aap kyuuñ huuñ merī zillat meñ sharīk
ġhair phir vo hukm de mere ḳhilāf
kyā ye hai terī hukūmat meñ sharīk
husn ne 'rāġhib' ḳhud apne 'ishq ko
kar diyā har dil kī raġhbat meñ sharīk
dil hai apna ranj-e-furqat mein sharik
KHud aziyyat KHud aziyyat mein sharik
hai gham-e-'ishq apni qismat mein sharik
hai yahi har ek haalat mein sharik
yaad hai teri har aafat mein sharik
kaun hota hai musibat mein sharik
ab to dil ke sath meri jaan bhi
ho gai teri mohabbat mein sharik
husn-e-kaamil ka kamal-e-ishq dekh
kis ko wo karta mohabbat mein sharik
nang-aqai hai meri bandagi
aap kyun hun meri zillat mein sharik
ghair phir wo hukm de mere KHilaf
kya ye hai teri hukumat mein sharik
husn ne 'raghib' KHud apne 'ishq ko
kar diya har dil ki raghbat mein sharik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.