dil hai betab iltija ke liye
dil hai betāb iltijā ke liye
chheḌ do baat ibtidā ke liye
bū-e-gul lūTtī luTātī hai
mashġhala ḳhuub hai sabā ke liye
mauj-e-tūfāñ meñ ab mirī kashtī
nāḳhudā chhoḌ de ḳhudā ke liye
hausle se jahāñ meñ sab kuchh hai
ye davā hai har ik balā ke liye
terī rahmat pe harf aatā hai
haath uTheñ agar duā ke liye
shahr meñ dasht meñ pahāḌoñ meñ
ham bhaTakte phire vafā ke liye
dil hai betab iltija ke liye
chheD do baat ibtida ke liye
bu-e-gul luTti luTati hai
mashghala KHub hai saba ke liye
mauj-e-tufan mein ab meri kashti
naKHuda chhoD de KHuda ke liye
hausle se jahan mein sab kuchh hai
ye dawa hai har ek bala ke liye
teri rahmat pe harf aata hai
hath uThen agar dua ke liye
shahr mein dasht mein pahaDon mein
hum bhaTakte phire wafa ke liye
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 76)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.