dil hai betab nazar khoi hui lagti hai
dil hai betāb nazar khoī huī lagtī hai
zindagī dukh meñ bahut roī huī lagtī hai
tujh ko sochoñ tirī taa.at meñ rahūñ to mujh ko
ḳhushbuoñ se ye zamīñ dhoī huī lagtī hai
saañs lete hī dhuāñ dil meñ utar jaatā hai
aag sī shai yahāñ kuchh boī huī lagtī hai
sāmne hashr nazar aatā hai lekin duniyā
ḳhvāb-e-ġhaflat meñ abhī soī huī lagtī hai
sab zafar-yāb hue apne safar meñ 'pāras'
merī manzil hī faqat khoī huī lagtī hai
dil hai betab nazar khoi hui lagti hai
zindagi dukh mein bahut roi hui lagti hai
tujh ko sochon teri taat mein rahun to mujh ko
KHushbuon se ye zamin dhoi hui lagti hai
sans lete hi dhuan dil mein utar jata hai
aag si shai yahan kuchh boi hui lagti hai
samne hashr nazar aata hai lekin duniya
KHwab-e-ghaflat mein abhi soi hui lagti hai
sab zafar-yab hue apne safar mein 'paras'
meri manzil hi faqat khoi hui lagti hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 627)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.