dil hai ek hi lekin nam-e-dil badalta hai
dil hai ek hī lekin nām-e-dil badaltā hai
saj gayā to gulshan hai luT gayā to sahrā hai
merā dard-e-mahrūmī ik nayā taqāzā hai
ishq rā.egāñ kyoñ ho tum nahīñ to duniyā hai
husn hai bahāreñ haiñ shauq hai tamāshā hai
āshiqī kī nisbat se zindagī gavārā hai
dard-o-ġham kī rāhoñ meñ saath chhoḌnā kaisā
duur tak chale aao duur tak añdherā hai
kal tire tasavvur ne mahfileñ sajā.ī thiiñ
aaj dil kī duniyā meñ terī yaad tanhā hai
zulmatoñ kā ronā kyā ahl-e-kārvāñ hoshyār
us taraf haiñ rahzan bhī jis taraf ujālā hai
raushnī meñ Dhaltī hai dil ke ḳhuun kī surḳhī
tab kahīñ sar-e-mizhgāñ ik charāġh jaltā hai
gard-e-rāh-e-insāñ haiñ māh-o-kahkashāñ 'shāhid'
justujū-e-paiham kā hashr kis ne dekhā hai
dil hai ek hi lekin nam-e-dil badalta hai
saj gaya to gulshan hai luT gaya to sahra hai
mera dard-e-mahrumi ek naya taqaza hai
ishq raegan kyon ho tum nahin to duniya hai
husn hai bahaaren hain shauq hai tamasha hai
aashiqi ki nisbat se zindagi gawara hai
dard-o-gham ki rahon mein sath chhoDna kaisa
dur tak chale aao dur tak andhera hai
kal tere tasawwur ne mahfilen sajai thin
aaj dil ki duniya mein teri yaad tanha hai
zulmaton ka rona kya ahl-e-karwan hoshyar
us taraf hain rahzan bhi jis taraf ujala hai
raushni mein Dhalti hai dil ke KHun ki surKHi
tab kahin sar-e-mizhgan ek charagh jalta hai
gard-e-rah-e-insan hain mah-o-kahkashan 'shahid'
justuju-e-paiham ka hashr kis ne dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.