dil hai haqiqat-ashna jalwa-gah-e-majaz mein
dil hai haqīqat-āshnā jalva-gah-e-majāz meñ
husn-e-azal hai mustatar ishq kī soz-o-sāz meñ
dil ko hai naaz ishq par rahguzar-e-majāz meñ
saikḌoñ jalve haiñ nihāñ husn-e-nazar-navāz meñ
ḳhvāhish-e-ilm hai fuzūl harf-e-ġhalat hai inkishāf
ek tilism-e-rāz hai hastī-e-kārsāz meñ
aah ye be-ḳhudī-e-ishq aah ye sādgī-e-dil
lutf-o-karam kī hai talāsh husn-e-jafā-tarāz meñ
ḳhaak sukūñ-pazīr ho merī hayāt-e-musta.ār
hashr hī hashr haiñ nihāñ terī ḳhirām-e-nāz meñ
dil mirā vaqf ho chukā jalva-e-rang rang kā
nāsiya sajda-rez hai ka.aba-e-ḳhāna-sāz meñ
dekh le is meñ haiñ nihāñ merī ubūdiyat ke raaz
sajde ke jo nishān haiñ nāsiya-e-niyāz meñ
terī samajh se hai buland hastī-e-rāz-e-kā.enāt
aql pe kar na jabr tū koshish-e-imtiyāz meñ
go hai sukūñ bhī ek chiiz par vo taḌap thī jāñ-fazā
haa.e vo soz ab nahīñ parda-e-dil ke saaz meñ
yā to ajal ke saath saath aa.e sahar kafan-badosh
yā koī phir kamī na ho merī shab-e-darāz meñ
chheḌ ke mujh ko ham-nafas mahv-e-tarab haiñ kis qadar
nāla-e-ġham hai muztarib parda-e-dil ke saaz meñ
kashmakash-e-hayāt meñ ai ajal iḳhtisār kar
yaas kā rang aa chalā koshish-e-jalva-sāz meñ
'sāqib'-e-mahv-e-be-ḳhudī tujh ko talāsh hai kahāñ
sun vo sadā-e-dil-fareb apnī hī dil ke saaz meñ
dil hai haqiqat-ashna jalwa-gah-e-majaz mein
husn-e-azal hai mustatar ishq ki soz-o-saz mein
dil ko hai naz ishq par rahguzar-e-majaz mein
saikDon jalwe hain nihan husn-e-nazar-nawaz mein
KHwahish-e-ilm hai fuzul harf-e-ghalat hai inkishaf
ek tilism-e-raaz hai hasti-e-karsaz mein
aah ye be-KHudi-e-ishq aah ye sadgi-e-dil
lutf-o-karam ki hai talash husn-e-jafa-taraaz mein
KHak sukun-pazir ho meri hayat-e-mustaar
hashr hi hashr hain nihan teri KHiram-e-naz mein
dil mera waqf ho chuka jalwa-e-rang rang ka
nasiya sajda-rez hai kaba-e-KHana-saz mein
dekh le is mein hain nihan meri ubudiyat ke raaz
sajde ke jo nishan hain nasiya-e-niyaz mein
teri samajh se hai buland hasti-e-raaz-e-kaenat
aql pe kar na jabr tu koshish-e-imtiyaz mein
go hai sukun bhi ek chiz par wo taDap thi jaan-faza
hae wo soz ab nahin parda-e-dil ke saz mein
ya to ajal ke sath sath aae sahar kafan-badosh
ya koi phir kami na ho meri shab-e-daraaz mein
chheD ke mujh ko ham-nafas mahw-e-tarab hain kis qadar
nala-e-gham hai muztarib parda-e-dil ke saz mein
kashmakash-e-hayat mein ai ajal iKHtisar kar
yas ka rang aa chala koshish-e-jalwa-saz mein
'saqib'-e-mahw-e-be-KHudi tujh ko talash hai kahan
sun wo sada-e-dil-fareb apni hi dil ke saz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.