dil hai KHamosh mahshar-e-arman liye hue
dil hai KHamosh mahshar-e-arman liye hue
Mohammad Mirza Wasif Rudaulvi
MORE BYMohammad Mirza Wasif Rudaulvi
dil hai ḳhamosh mahshar-e-armāñ liye hue
qatre kā hai sukūn bhī tūfāñ liye hue
īmān kufr kufr hai īmāñ liye hue
nairangiyāñ haiñ gardish-e-daurāñ liye hue
hosh-e-junūñ hai jalva-e-uryāñ liye hue
dāman kā chaak tā-ba-garebāñ liye hue
dard-e-vafā pe qīmat-e-darmāñ liye hue
dil hoñ diye hue ġham-e-jānāñ liye hue
parvāna-vār jaatā huuñ phir bazm-e-nāznīn
soz-e-vafā kī sham-e-farozāñ liye hue
āzād-e-qaid-o-band hai gul-kārī-e-ḳhayāl
baiThe haiñ ham qafas meñ gulistāñ liye hue
rusvā na kar deñ tujh ko tirī be-qarāriyāñ
apne ko ik zarā dil-e-nādāñ liye hue
sar meñ junūñ kā josh hai kyūñkar uTheñ na paañv
har aable meñ ḳhār-e-muġhīlāñ liye hue
hamdam na pūchh 'vāsif'-e-ḳhasta se rāz-e-dil
ḳhāmosh kyoñ hai tab.a-e-ġhazal-ḳhvāñ liye hue
dil hai KHamosh mahshar-e-arman liye hue
qatre ka hai sukun bhi tufan liye hue
iman kufr kufr hai iman liye hue
nairangiyan hain gardish-e-dauran liye hue
hosh-e-junun hai jalwa-e-uryan liye hue
daman ka chaak ta-ba-gareban liye hue
dard-e-wafa pe qimat-e-darman liye hue
dil hon diye hue gham-e-jaanan liye hue
parwana-war jata hun phir bazm-e-naznin
soz-e-wafa ki sham-e-farozan liye hue
aazad-e-qaid-o-band hai gul-kari-e-KHayal
baiThe hain hum qafas mein gulistan liye hue
ruswa na kar den tujh ko teri be-qarariyan
apne ko ek zara dil-e-nadan liye hue
sar mein junun ka josh hai kyunkar uThen na panw
har aable mein KHar-e-mughilan liye hue
hamdam na puchh 'wasif'-e-KHasta se raaz-e-dil
KHamosh kyon hai taba-e-ghazal-KHwan liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.