dil hai ki qarib itna ai kash tu aa jae
dil hai ki qarīb itnā ai kaash tū aa jaa.e
maiñ tujh meñ samā jā.ūñ tū mujh meñ samā jaa.e
maiñ hañs ke luTā duuñ sab jī jaan se luT jā.ūñ
gur naam tumhāre par luTne kā kahā jaa.e
bīmār-e-mohabbat ko mumkin hai shifā ab bhī
vo shaḳhs bulā laao dīdār karā jaa.e
is duniyā parā.ī meñ ik shaḳhs jo apnā thā
kuchh 'aib nahīñ gar ab begāna kahā jaa.e
maiñ saath nibhāne kī koshish meñ rahā barsoñ
be-kār kī mehnat ko kyā naam diyā jaa.e
vo rasm-e-mohabbat to qāsir thā nibhāne se
ab rasm-e-‘adāvat hī himmat se nibhā jaa.e
ab se dil-e-'mīsam' meñ an-honī kā ḳhadsha hai
lāzim hai tujhe dil se ab duur kiyā jaa.e
dil hai ki qarib itna ai kash tu aa jae
main tujh mein sama jaun tu mujh mein sama jae
main hans ke luTa dun sab ji jaan se luT jaun
gur nam tumhaare par luTne ka kaha jae
bimar-e-mohabbat ko mumkin hai shifa ab bhi
wo shaKHs bula lao didar kara jae
is duniya parai mein ek shaKHs jo apna tha
kuchh 'aib nahin gar ab begana kaha jae
main sath nibhane ki koshish mein raha barson
be-kar ki mehnat ko kya nam diya jae
wo rasm-e-mohabbat to qasir tha nibhane se
ab rasm-e-‘adawat hi himmat se nibha jae
ab se dil-e-'misam' mein an-honi ka KHadsha hai
lazim hai tujhe dil se ab dur kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.