dil hai kyon girya-e-be-ashk se pur-nur bahut
dil hai kyoñ girya-e-be-ashk se pur-nūr bahut
tum bahut paas ho yā ḳhud se haiñ ham duur bahut
jalva-e-husn se dil kyā rahe māmūr bahut
mauj sāhil ke kabhī paas kabhī duur bahut
naam isī farq kā hai kashmakash-e-ġham shāyad
tum karam karte ho kam-kam hameñ manzūr bahut
istitā.at hai jinheñ un ko kuchh ehsās nahīñ
jin kā ehsās hai zinda vo haiñ majbūr bahut
marg-e-be-fāsla hai bā-ḳhabarī kā jiinā
apnī ġhaflat se hai jo koī hai masrūr bahut
kab se huuñ ham-qadam-e-vaqt-e-gurezāñ lekin
duur hai manzil-e-maqsūd ba-dastūr bahut
sirf ālām se hī dil nahīñ hotā ġhamgīñ
ba.az ḳhushiyāñ bhī banā detī haiñ ranjūr bahut
kyā na kartī rahī duniyā hameñ apnāne ko
kam-dimāġhī se rahe kuchh hamī maġhrūr bahut
dil meñ rakh kar tumheñ gumnām ke gumnām haiñ ham
tuur ik barq-e-tajallī se hai mash.hūr bahut
kahīñ hañste hue chehroñ se na dhokā khānā
dil TaTologe to mil jā.eñge nāsūr bahut
zindagī vaqt kā ḳhud sab se baḌā hādisa hai
jis ko dekho vo hai hālāt se majbūr bahut
'shauq' kyā jalva-e-be-parda kī ḳhvāhish kiije
hosh uḌāne ko hai ik jalva-e-mastūr bahut
dil hai kyon girya-e-be-ashk se pur-nur bahut
tum bahut pas ho ya KHud se hain hum dur bahut
jalwa-e-husn se dil kya rahe mamur bahut
mauj sahil ke kabhi pas kabhi dur bahut
nam isi farq ka hai kashmakash-e-gham shayad
tum karam karte ho kam-kam hamein manzur bahut
istitaat hai jinhen un ko kuchh ehsas nahin
jin ka ehsas hai zinda wo hain majbur bahut
marg-e-be-fasla hai ba-KHabari ka jina
apni ghaflat se hai jo koi hai masrur bahut
kab se hun ham-qadam-e-waqt-e-gurezan lekin
dur hai manzil-e-maqsud ba-dastur bahut
sirf aalam se hi dil nahin hota ghamgin
baz KHushiyan bhi bana deti hain ranjur bahut
kya na karti rahi duniya hamein apnane ko
kam-dimaghi se rahe kuchh hami maghrur bahut
dil mein rakh kar tumhein gumnam ke gumnam hain hum
tur ek barq-e-tajalli se hai mashhur bahut
kahin hanste hue chehron se na dhoka khana
dil TaTologe to mil jaenge nasur bahut
zindagi waqt ka KHud sab se baDa hadisa hai
jis ko dekho wo hai haalat se majbur bahut
'shauq' kya jalwa-e-be-parda ki KHwahish kije
hosh uDane ko hai ek jalwa-e-mastur bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.