dil hai na nishan be-dili ka
dil hai na nishān be-dilī kā
kyā vaqt paḌā hai be-kasī kā
dekhā kiye rāsta kisī kā
thā shaġhl ye apnī zindagī kā
parvā-e-karam na shikva-e-ġham
allāh re dimāġh be-dilī kā
maiñ aur ye be-niyāzī-e-shauq
ehsān hai josh-e-be-ḳhudī kā
marnā marne kī aarzū meñ
hāsil hai ye apnī zindagī kā
aañsū bhar aa.e dil bhar aayā
gar naam bhī sun liyā ḳhushī kā
āḳhir 'ibrat' ne jaan de dī
kuchh paas kiyā na be-kasī kā
dil hai na nishan be-dili ka
kya waqt paDa hai be-kasi ka
dekha kiye rasta kisi ka
tha shaghl ye apni zindagi ka
parwa-e-karam na shikwa-e-gham
allah re dimagh be-dili ka
main aur ye be-niyazi-e-shauq
ehsan hai josh-e-be-KHudi ka
marna marne ki aarzu mein
hasil hai ye apni zindagi ka
aansu bhar aae dil bhar aaya
gar nam bhi sun liya KHushi ka
aaKHir 'ibrat' ne jaan de di
kuchh pas kiya na be-kasi ka
- Book : Noquush (Pg. B-412 E422)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.