dil hai sahra se kuchh udas bahut
dil hai sahrā se kuchh udaas bahut
ghar ko vīrāñ karūñ to ghaas bahut
ro.ab paḌ jaa.e us pe lahje kā
mudda.ā kam ho iltimās bahut
merī tanhā.iyoñ kī duniyā meñ
log rahte haiñ ās-pās bahut
hai ajab haal ġham ke sūraj kā
raushnī kam hai in.ikās bahut
mutma.in dil ho kyā haqīqat se
hai mirī soch meñ qayās bahut
log marte haiñ ik ḳhushī ke liye
ham masarrat meñ haiñ udaas bahut
dūr-uftāda-e-chaman ke liye
ek hī phuul kī hai baas bahut
ḳhadd-o-ḳhāl us ke aur ye chehre
aise dekhe haiñ iqtibās bahut
jis se mansūb talḳhiyāñ haiñ 'nazar'
us ke lahje meñ hai miThās bahut
dil hai sahra se kuchh udas bahut
ghar ko viran karun to ghas bahut
roab paD jae us pe lahje ka
muddaa kam ho iltimas bahut
meri tanhaiyon ki duniya mein
log rahte hain aas-pas bahut
hai ajab haal gham ke suraj ka
raushni kam hai inikas bahut
mutmain dil ho kya haqiqat se
hai meri soch mein qayas bahut
log marte hain ek KHushi ke liye
hum masarrat mein hain udas bahut
dur-uftada-e-chaman ke liye
ek hi phul ki hai bas bahut
KHadd-o-KHal us ke aur ye chehre
aise dekhe hain iqtibas bahut
jis se mansub talKHiyan hain 'nazar'
us ke lahje mein hai miThas bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.