dil hai tere pyar karne kun
dil hai tire pyaar karne kuuñ
jī hai tujh par nisār karne kuuñ
ik lahr lutf kī hameñ bas hai
ġham ke dariyā suuñ paar karne kuuñ
chashm merī hai abr-e-nīsānī
girya-e-zār-zār karne kuuñ
chashm niiñ anjhuvāñ kī bastī kī
zulm terā shumār karne kuuñ
rashk siiñ jab koī chhue vo zulf
dil uThe maar maar karne kuuñ
is adā suuñ laTak laTak mat aa
dil mirā be-qarār karne kuuñ
naañv kuuñ garche tū mamūlā hai
baaz hai dil shikār karne kuuñ
kyā karūñ kis se jā lagā.ūñ ghaat
'ābrū' us ke yaar karne kuuñ
dil hai tere pyar karne kun
ji hai tujh par nisar karne kun
ek lahr lutf ki hamein bas hai
gham ke dariya sun par karne kun
chashm meri hai abr-e-nisani
girya-e-zar-zar karne kun
chashm nin anjhuwan ki basti ki
zulm tera shumar karne kun
rashk sin jab koi chhue wo zulf
dil uThe mar mar karne kun
is ada sun laTak laTak mat aa
dil mera be-qarar karne kun
nanw kun garche tu mamula hai
baz hai dil shikar karne kun
kya karun kis se ja lagaun ghat
'abru' us ke yar karne kun
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 189)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.