dil hai to dil mein dard-e-mohabbat kahan nahin
dil hai to dil meñ dard-e-mohabbat kahāñ nahīñ
ye rabt-e-ḳhās aur ye nisbat kahāñ nahīñ
āñkhoñ meñ jo basī hai vo sūrat kahāñ nahīñ
vo jān-e-‘ishq jān-e-mohabbat kahāñ nahīñ
ye aur baat hai ki mire lab ḳhamosh haiñ
varna zabāñ pe terī shikāyat kahāñ nahīñ
duniyā hai aur zabt-e-mohabbat kī koshisheñ
ifshā magar ye rāz-e-haqīqat kahāñ nahīñ
taslīm rāh-e-'ishq kī dushvāriyāñ magar
tum saath ho to gosha-e-rāhat kahāñ nahīñ
jām-e-sharāb sāqī-e-nauḳhez gulsitāñ
jannat agar yahī hai to jannat kahāñ nahīñ
aage haiñ mujh se bhī mirī rusvā.iyāñ 'hazīñ'
is e'tibār se mirī shohrat kahāñ nahīñ
dil hai to dil mein dard-e-mohabbat kahan nahin
ye rabt-e-KHas aur ye nisbat kahan nahin
aankhon mein jo basi hai wo surat kahan nahin
wo jaan-e-‘ishq jaan-e-mohabbat kahan nahin
ye aur baat hai ki mere lab KHamosh hain
warna zaban pe teri shikayat kahan nahin
duniya hai aur zabt-e-mohabbat ki koshishen
ifsha magar ye raaz-e-haqiqat kahan nahin
taslim rah-e-'ishq ki dushwariyan magar
tum sath ho to gosha-e-rahat kahan nahin
jam-e-sharab saqi-e-nauKHez gulsitan
jannat agar yahi hai to jannat kahan nahin
aage hain mujh se bhi meri ruswaiyan 'hazin'
is e'tibar se meri shohrat kahan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.