dil hai TuTa ki aaina TuTa
dil hai TuuTā ki aa.ina TuuTā
aa.ī āvāz chhan se kyā TuuTā
maiñ ka.ī martaba juḌā TuuTā
na maiñ haarā na hausla TuuTā
jo bahut ḳhush thā TūTne pe mire
aaj vo bhī mujhe milā TuuTā
kaam aate haiñ dukh meñ apne log
aaj ye bhī muġhālta TuuTā
apne dil kā gumān hotā hai
jaam aage se ye haTā TuuTā
ḳhush-mizājī pahan ke aaya hai
tū bhī andar se hai batā TuuTā
dil hai TuTa ki aaina TuTa
aai aawaz chhan se kya TuTa
main kai martaba juDa TuTa
na main haara na hausla TuTa
jo bahut KHush tha TuTne pe mere
aaj wo bhi mujhe mila TuTa
kaam aate hain dukh mein apne log
aaj ye bhi mughaalta TuTa
apne dil ka guman hota hai
jam aage se ye haTa TuTa
KHush-mizaji pahan ke aaya hai
tu bhi andar se hai bata TuTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.