dil hai wabasta mera hasrat-e-nakaam ke sath
dil hai vābasta mirā hasrat-e-nākām ke saath
taaza ho jaate haiñ sab zaḳhm tire naam ke saath
us ne har halq-e-tamannā pe chalāyā ḳhanjar
yuuñ hai paikār mirī gardish-e-ayyām ke saath
dard-e-ulfat mirā kartā hai tarannum-rezī
kirneñ ro ro ke gale miltī haiñ jab shaam ke saath
sang ban jaatā agar maiñ bhī barā-e-ishrat
zindagī phir to guzartī baḌe ārām ke saath
har jihat se rahā duniyā meñ sarāsar nākām
jī rahā huuñ maiñ ḳhushī se isī ilzām ke saath
rāhī-e-zīst agar azm-e-safar hai pur-josh
phir to vābasta hai manzil tire har gaam ke saath
ye banā detā hai insāñ ko mukammal patthar
yuuñ rahī dahr meñ nafrat mujhe ārām ke saath
ātish-e-ġham ne tapā kar kiyā kundan mujh ko
isī baa.is to 'jalī' ishq hai ālām ke saath
dil hai wabasta mera hasrat-e-nakaam ke sath
taza ho jate hain sab zaKHm tere nam ke sath
us ne har halq-e-tamanna pe chalaya KHanjar
yun hai paikar meri gardish-e-ayyam ke sath
dard-e-ulfat mera karta hai tarannum-rezi
kirnen ro ro ke gale milti hain jab sham ke sath
sang ban jata agar main bhi bara-e-ishrat
zindagi phir to guzarti baDe aaram ke sath
har jihat se raha duniya mein sarasar nakaam
ji raha hun main KHushi se isi ilzam ke sath
rahi-e-zist agar azm-e-safar hai pur-josh
phir to wabasta hai manzil tere har gam ke sath
ye bana deta hai insan ko mukammal patthar
yun rahi dahr mein nafrat mujhe aaram ke sath
aatish-e-gham ne tapa kar kiya kundan mujh ko
isi bais to 'jali' ishq hai aalam ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.