dil hamara dukha diya tumne
dil hamārā dukhā diyā tum ne
ab to ārām pā liyā tum ne
fail jis kaam meñ hue aksar
Thiik is baar vo kiyā tum ne
mujh ko muddat ke baad jānoge
saath kitnā abhī diyā tum ne
is mohabbat kī aaḌ meñ aksar
ḳhuub chāk-e-jigar kiyā tum ne
tīrgī kam huī mire ghar kī
jab jalā kar rakhā diyā tum ne
zindagī aaj mujh se kahne lagī
kuchh ziyāda hī jī liyā tum ne
ashk āñkhoñ meñ rok lo 'sohil'
vaqt achchhā-bhalā jiyā tum ne
dil hamara dukha diya tum ne
ab to aaram pa liya tum ne
fail jis kaam mein hue aksar
Thik is bar wo kiya tum ne
mujh ko muddat ke baad jaanoge
sath kitna abhi diya tum ne
is mohabbat ki aaD mein aksar
KHub chaak-e-jigar kiya tum ne
tirgi kam hui mere ghar ki
jab jala kar rakha diya tum ne
zindagi aaj mujh se kahne lagi
kuchh ziyaada hi ji liya tum ne
ashk aankhon mein rok lo 'sohil'
waqt achchha-bhala jiya tum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.