dil hamara raqs karta hai nazar ke sath-sath
dil hamārā raqs kartā hai nazar ke sāth-sāth
jhūmtī hai zindagī qalb-o-jigar ke sāth-sāth
kar nahīñ sakte kisī se hāl-e-dil apnā bayāñ
aisī bhī dushvāriyāñ kuchh haiñ bashar ke sāth-sāth
ik nigāh-e-lutf meñ donoñ kī qismat jāgtī
dil ko bhī kuchh chain mil jaatā jigar ke sāth-sāth
chuum lenā un kī zulf-e-nāz kā mushkil na thā
ham bhī ho lete agar bād-e-sahar ke sāth-sāth
fann-e-mausīqī se vābasta hai apnī shā.erī
ham ġhazal paḌhte haiñ ai 'naġhma' hunar ke sāth-sāth
dil hamara raqs karta hai nazar ke sath-sath
jhumti hai zindagi qalb-o-jigar ke sath-sath
kar nahin sakte kisi se haal-e-dil apna bayan
aisi bhi dushwariyan kuchh hain bashar ke sath-sath
ek nigah-e-lutf mein donon ki qismat jagti
dil ko bhi kuchh chain mil jata jigar ke sath-sath
chum lena un ki zulf-e-naz ka mushkil na tha
hum bhi ho lete agar baad-e-sahar ke sath-sath
fann-e-mausiqi se wabasta hai apni shaeri
hum ghazal paDhte hain ai 'naghma' hunar ke sath-sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.