dil hamara to kahin khoya nahin tha
dil hamārā to kahīñ khoyā nahīñ thā
haañ tumhāre paas bas DhūñDhā nahīñ thā
us se keval dostī chāhī thī ham ne
'ishq kar baiTheñge ye sochā nahīñ thā
us kī narmāhaT abhī tak hai laboñ par
vo mahz ik aam sā bosa nahīñ thā
ek laḌkī dil lagā.e tab se baiThī
'ishq karnā jab mujhe aatā nahīñ thā
ab kabhī milnā nahīñ hogā hamārā
ḳhat meñ aisā to kahīñ likkhā nahīñ thā
dard tanhā.ī taḌap aañsū vaġhaira
yaar tere 'ishq meñ kyā kyā nahīñ thā
āḳhirash dil chal paḌā us kī hī jānib
aur kuchh is ke sivā chāra nahīñ thā
tum yaqīñ maano tumhārā hī asar hai
varna ye patthar kabhī dhaḌkā nahīñ thā
bin tumhāre naam ham likhte bhī kaise
so ġhazal meñ jaan kar maqta' nahīñ thā
dil hamara to kahin khoya nahin tha
han tumhaare pas bas DhunDha nahin tha
us se kewal dosti chahi thi hum ne
'ishq kar baiThenge ye socha nahin tha
us ki narmahaT abhi tak hai labon par
wo mahz ek aam sa bosa nahin tha
ek laDki dil lagae tab se baiThi
'ishq karna jab mujhe aata nahin tha
ab kabhi milna nahin hoga hamara
KHat mein aisa to kahin likkha nahin tha
dard tanhai taDap aansu waghaira
yar tere 'ishq mein kya kya nahin tha
aaKHirash dil chal paDa us ki hi jaanib
aur kuchh is ke siwa chaara nahin tha
tum yaqin mano tumhaara hi asar hai
warna ye patthar kabhi dhaDka nahin tha
bin tumhaare nam hum likhte bhi kaise
so ghazal mein jaan kar maqta' nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.