dil hamein chaak-gareban nahin hone deta
dil hameñ chāk-garebāñ nahīñ hone detā
aur junūñ tañgī-e-dāmāñ nahīñ hone detā
ek saayā hai jo mujh meñ kahīñ poshīda hai
ek sūraj hai ki tābāñ nahīñ hone detā
ek jaalā hai jo dānā.ī ne bun rakhā hai
maiñ jo chāhūñ bhī to nādāñ nahīñ hone detā
thaam letā hai koī dāman-e-imkān-e-sarāb
kyoñ hameñ sarf-e-nigārāñ nahīñ hone detā
mar hī jā.eñge pashemāñ jo hue ishq meñ ham
bas yahī ḳhauf pashemāñ nahīñ hone detā
bas vahī ḳhvāb ki jo diid kī hasrat meñ miTā
aañkh ko ḳhāna-e-vīrāñ nahīñ hone detā
koī is anjuman-ārā.ī se nālāñ hai ki jo
bas yahāñ jashn-e-bahārāñ nahīñ hone detā
dil hamein chaak-gareban nahin hone deta
aur junun tangi-e-daman nahin hone deta
ek saya hai jo mujh mein kahin poshida hai
ek suraj hai ki taban nahin hone deta
ek jala hai jo danai ne bun rakha hai
main jo chahun bhi to nadan nahin hone deta
tham leta hai koi daman-e-imkan-e-sarab
kyon hamein sarf-e-nigaran nahin hone deta
mar hi jaenge pasheman jo hue ishq mein hum
bas yahi KHauf pasheman nahin hone deta
bas wahi KHwab ki jo did ki hasrat mein miTa
aankh ko KHana-e-viran nahin hone deta
koi is anjuman-arai se nalan hai ki jo
bas yahan jashn-e-bahaaran nahin hone deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.