dil hi jab jaan se juda hoga
dil hī jab jaan se judā hogā
yuuñ ji.e bhī to jī ke kyā hogā
lamha lamha tirī judā.ī meñ
kis qadar sabr-āzmā hogā
kam na hogī tirī parastārī
ham na hoñge to dūsrā hogā
maujzan dil meñ hai lahū kī tarah
dard dil se kahīñ judā hogā
terī yādoñ ke bhuul jaane tak
zahr-e-ġham kaam kar chukā hogā
us ne ham se hī jab nibāh na kī
vo kisī aur kā bhī kyā hogā
aaj phir zalzala sā hai dil meñ
ab ḳhudā jaane aur kyā hogā
'bazm' apnā bhī ehtisāb karo
tum se bhī kyā koī burā hogā
dil hi jab jaan se juda hoga
yun jie bhi to ji ke kya hoga
lamha lamha teri judai mein
kis qadar sabr-azma hoga
kam na hogi teri parastari
hum na honge to dusra hoga
maujzan dil mein hai lahu ki tarah
dard dil se kahin juda hoga
teri yaadon ke bhul jaane tak
zahr-e-gham kaam kar chuka hoga
us ne hum se hi jab nibah na ki
wo kisi aur ka bhi kya hoga
aaj phir zalzala sa hai dil mein
ab KHuda jaane aur kya hoga
'bazm' apna bhi ehtisab karo
tum se bhi kya koi bura hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.