dil hi mein nala-e-shab-gir ulaT jata hai
dil hi mein nala-e-shab-gir ulaT jata hai
Mohammad Zakariyya Khan
MORE BYMohammad Zakariyya Khan
dil hī meñ nāla-e-shab-gīr ulaT jaatā hai
nā-muvāfiq hai havā tiir ulaT jaatā hai
naale us kī nigah-e-qahr se ruk jaate haiñ
tiir se murġh-e-havā-gīr ulaT jaatā hai
jalva-gah meñ tirī kyā Thahrūñ ki saaya nā-chār
jab huā rūkash-e-tanvīr ulaT jaatā hai
Thahrā iz.hār-e-vafā shikva-e-vasl-e-aġhyār
rashk se hāsil-e-taqrīr ulaT jaatā hai
muñh ḳharābāt meñ rindoñ se chhupā.e kyā shaiḳh
nashshe meñ dāman-e-tazvīr ulaT jaatā hai
zauq-e-tahsīn 'zakī' kis qadar allāh-allāh
dam-e-bismil dam-e-takbīr ulaT jaatā hai
dil hi mein nala-e-shab-gir ulaT jata hai
na-muwafiq hai hawa tir ulaT jata hai
nale us ki nigah-e-qahr se ruk jate hain
tir se murgh-e-hawa-gir ulaT jata hai
jalwa-gah mein teri kya Thahrun ki saya na-chaar
jab hua rukash-e-tanwir ulaT jata hai
Thahra izhaar-e-wafa shikwa-e-wasl-e-aghyar
rashk se hasil-e-taqrir ulaT jata hai
munh KHarabaat mein rindon se chhupae kya shaiKH
nashshe mein daman-e-tazwir ulaT jata hai
zauq-e-tahsin 'zaki' kis qadar allah-allah
dam-e-bismil dam-e-takbir ulaT jata hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 81)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.