dil ho charagh ho ki sitara koi to ho
dil ho charāġh ho ki sitāra koī to ho
qā.em-maqām yā'nī tumhārā koī to ho
kab shor sā uThegā kab uTTheñgī uñgliyāñ
ham haiñ bhī aur nahīñ bhī ishāra koī to ho
ik surma.ī uchhāl ho aisī ki jaise shaam
din Dūbtā hai din kā sahārā koī to ho
terī taraf se koī rukāvaT nahīñ magar
terī tarah se yaad dobāra koī to ho
do āñsuoñ meñ ek to māneñ ki hai jo hai
do pāniyoñ meñ paanī gavāra koī to ho
Thokar hī jhūT-mūT kī khā.ūñ Thahar to jā.ūñ
ab is gumāñ-guzar kā kināra koī to ho
dil aise ek dil kī binā aur bhī rakkheñ
yā'nī hamāre baa'd hamārā koī to ho
dil ho charagh ho ki sitara koi to ho
qaem-maqam ya'ni tumhaara koi to ho
kab shor sa uThega kab uTThengi ungliyan
hum hain bhi aur nahin bhi ishaara koi to ho
ek surmai uchhaal ho aisi ki jaise sham
din Dubta hai din ka sahaara koi to ho
teri taraf se koi rukawaT nahin magar
teri tarah se yaad dobara koi to ho
do aansuon mein ek to manen ki hai jo hai
do paniyon mein pani gawara koi to ho
Thokar hi jhuT-muT ki khaun Thahar to jaun
ab is guman-guzar ka kinara koi to ho
dil aise ek dil ki bina aur bhi rakkhen
ya'ni hamare ba'd hamara koi to ho
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 100)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.