dil hosh se begana begane ko kya kahiye
dil hosh se begāna begāne ko kyā kahiye
chup rahnā hī behtar hai dīvāne ko kyā kahiye
kuchh bhī to nahīñ dekhā aur kuuch kī tayyārī
yuuñ aane se kyā hāsil yuuñ jaane ko kyā kahiye
majbūr haiñ sab apnī uftād tabī.at se
ho sham.a se kyā shikva parvāne ko kyā kahiye
tujh se hī marāsim haiñ tujh se hī gilā hogā
begāne se kyā lenā begāne ko kyā kahiye
maanā ki 'vasī'-shāh se tum ko haiñ bahut shikve
dīvāna hai dīvāna dīvāne ko kyā kahiye
dil hosh se begana begane ko kya kahiye
chup rahna hi behtar hai diwane ko kya kahiye
kuchh bhi to nahin dekha aur kuch ki tayyari
yun aane se kya hasil yun jaane ko kya kahiye
majbur hain sab apni uftad tabiat se
ho shama se kya shikwa parwane ko kya kahiye
tujh se hi marasim hain tujh se hi gila hoga
begane se kya lena begane ko kya kahiye
mana ki 'wasi'-shah se tum ko hain bahut shikwe
diwana hai diwana diwane ko kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.