dil hua bezar ab aaega kaun
dil huā bezār ab aa.egā kaun
uTh ga.ī dīvār ab aa.egā kaun
bād-e-sarsar barg-o-gul sab le uḌī
miT gayā gulzār ab aa.egā kaun
jin ko apne ḳhuun se sīñchā thā vo
ho ga.e aġhyār ab aa.egā kaun
haa.e re dil kī hī dil meñ rah ga.ī
hasrat-e-dīdār ab aa.egā kaun
tez hai barsāt aur āñdhī kī bhī
tez-tar raftār ab aa.egā kaun
jin se ummīd-e-vafā qaa.em thī vo
rah ga.e us paar ab aa.egā kaun
sahn meñ hoñ muntazir ab kis liye
ūñchī hai dīvār ab aa.egā kaun
ai 'anā' kis par bhalā kiije yaqīñ
bik ga.e ġham-ḳhvār ab aa.egā kaun
dil hua bezar ab aaega kaun
uTh gai diwar ab aaega kaun
baad-e-sarsar barg-o-gul sab le uDi
miT gaya gulzar ab aaega kaun
jin ko apne KHun se sincha tha wo
ho gae aghyar ab aaega kaun
hae re dil ki hi dil mein rah gai
hasrat-e-didar ab aaega kaun
tez hai barsat aur aandhi ki bhi
tez-tar raftar ab aaega kaun
jin se ummid-e-wafa qaem thi wo
rah gae us par ab aaega kaun
sahn mein hon muntazir ab kis liye
unchi hai diwar ab aaega kaun
ai 'ana' kis par bhala kije yaqin
bik gae gham-KHwar ab aaega kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.