dil hua teri nazar se faizyab
dil huā terī nazar se faizyāb
maiñ tirā jalva na tū merā hijāb
tum hasīnān-e-jahāñ meñ muntaḳhab
aur merā dil tumhārā intiḳhāb
un ko mujh se mujh ko un se hai hijāb
dekhiye pahle uThe kis kā naqāb
sarzamīn-e-dil meñ sar-garm-e-safar
the hazāroñ chāñd lākhoñ āftāb
mauj zāhir hai ki pech-o-tāb-e-mauj
mauj kyā hai dar-haqīqat pech-o-tāb
vo jise duniyā samajhtī hai sukūñ
dar-haqīqat hai kamāl-e-iztirāb
ḳhaak ban kar kū-e-jānāñ meñ rahe
aadmī ko varna miTTī hai ḳharāb
tā-ba-kai aa kar nizā’-e-kufr-o-dīñ
tum uThā do rū-e-rangīñ se naqāb
ḳhāksārī ham ko zebā hai 'zahīn'
ham ki haiñ dildār-gān-e-bu-tururāb
dil hua teri nazar se faizyab
main tera jalwa na tu mera hijab
tum hasinan-e-jahan mein muntaKHab
aur mera dil tumhaara intiKHab
un ko mujh se mujh ko un se hai hijab
dekhiye pahle uThe kis ka naqab
sarzamin-e-dil mein sar-garm-e-safar
the hazaron chand lakhon aaftab
mauj zahir hai ki pech-o-tab-e-mauj
mauj kya hai dar-haqiqat pech-o-tab
wo jise duniya samajhti hai sukun
dar-haqiqat hai kamal-e-iztirab
KHak ban kar ku-e-jaanan mein rahe
aadmi ko warna miTTi hai KHarab
ta-ba-kai aa kar niza’-e-kufr-o-din
tum uTha do ru-e-rangin se naqab
KHaksari hum ko zeba hai 'zahin'
hum ki hain dildar-gan-e-bu-tururab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.