dil ek duniya basa leta hai gar koi nahin aata
dil ik duniyā basā letā hai gar koī nahīñ aatā
faqat mahsūs kartā hai nazar koī nahīñ aatā
ḳhabar achchhī burī taaza purānī ho na ho phir bhī
hamārī mahfiloñ meñ be-ḳhabar koī nahīñ aatā
jo pīchhe chhoḌ aa.e haiñ usī pe lauT jā.eñge
khulegā jab ki in rastoñ pe ghar koī nahīñ aatā
kabhī shātir se shāyad is liye bhī jiit saktā huuñ
ki mujh ko chaal chalne kā hunar koī nahīñ aatā
bure vaqtoñ ne aisā gher rakkhā hai ki barsoñ se
idhar achchhe dinoñ kā nāma-bar koī nahīñ aatā
guzar jaao 'shahāb' is pur-ḳhatar kāñToñ ke jañgal se
ki is ke baad phir aisā safar koī nahīñ aatā
dil ek duniya basa leta hai gar koi nahin aata
faqat mahsus karta hai nazar koi nahin aata
KHabar achchhi buri taza purani ho na ho phir bhi
hamari mahfilon mein be-KHabar koi nahin aata
jo pichhe chhoD aae hain usi pe lauT jaenge
khulega jab ki in raston pe ghar koi nahin aata
kabhi shatir se shayad is liye bhi jit sakta hun
ki mujh ko chaal chalne ka hunar koi nahin aata
bure waqton ne aisa gher rakkha hai ki barson se
idhar achchhe dinon ka nama-bar koi nahin aata
guzar jao 'shahab' is pur-KHatar kanTon ke jangal se
ki is ke baad phir aisa safar koi nahin aata
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 460)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.