dil ek nai duniya-e-maani se mila hai
dil ik na.ī duniyā-e-ma.ānī se milā hai
ye phal bhī hameñ naql-e-makānī se milā hai
jo naam kabhī naqsh thā dil par vo nahīñ yaad
ab us kā patā yād-dahānī se milā hai
ye dard kī dahlīz pe sar phoḌtī duniyā
is kā bhī sirā merī kahānī se milā hai
kho.e hue logoñ kā surāġh ahl-e-safar ko
jalte hue ḳhemoñ kī nishānī se milā hai
ḳhātir meñ kisī ko bhī na laane kā ye andāz
biphrī huī maujoñ kī ravānī se milā hai
lafzoñ meñ har ik ranj samone kā qarīna
us aañkh meñ Thahre hue paanī se milā hai
ye sub.h kī āġhosh meñ khiltā huā manzar
ik silsila-e-shab kī girānī se milā hai
dil ek nai duniya-e-maani se mila hai
ye phal bhi hamein naql-e-makani se mila hai
jo nam kabhi naqsh tha dil par wo nahin yaad
ab us ka pata yaad-dahani se mila hai
ye dard ki dahliz pe sar phoDti duniya
is ka bhi sira meri kahani se mila hai
khoe hue logon ka suragh ahl-e-safar ko
jalte hue KHemon ki nishani se mila hai
KHatir mein kisi ko bhi na lane ka ye andaz
biphri hui maujon ki rawani se mila hai
lafzon mein har ek ranj samone ka qarina
us aankh mein Thahre hue pani se mila hai
ye subh ki aaghosh mein khilta hua manzar
ek silsila-e-shab ki girani se mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.