dil is liye hai dost ki dil mein hai ja-e-dost
dil is liye hai dost ki dil meñ hai jā-e-dost
jab ye na ho baġhal meñ hai dushman bajā.e dost
miTne kī aarzū hai isī rahguzār meñ
itne miTe ki log kaheñ ḳhāk-e-pā-e-dost
taqrīr kā hai ḳhaas adā-e-bayāñ meñ lutf
suniye mirī zabān se kuchh mājrā-e-dost
sab kuchh hai aur kuchh nahīñ aalam kī kā.enāt
duniyā barā.e dost hai uqbā barā.e dost
dil is liye hai dost ki dil mein hai ja-e-dost
jab ye na ho baghal mein hai dushman bajae dost
miTne ki aarzu hai isi rahguzar mein
itne miTe ki log kahen KHak-e-pa-e-dost
taqrir ka hai KHas ada-e-bayan mein lutf
suniye meri zaban se kuchh majra-e-dost
sab kuchh hai aur kuchh nahin aalam ki kaenat
duniya barae dost hai uqba barae dost
- Book : Noquush (Pg. B-298 E-314)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.