Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ishq ki mai se chhalak raha hai

Asar Lakhnavi

dil ishq ki mai se chhalak raha hai

Asar Lakhnavi

MORE BYAsar Lakhnavi

    dil ishq mai se chhalak rahā hai

    ik phuul hai jo mahak rahā hai

    āñkheñ kab baras chukī haiñ

    kauñdā ab tak lapak rahā hai

    ab aa.e bahār na aa.e

    āñkhoñ se lahū Tapak rahā hai

    hai duur bahut zamān-e-va.ada

    aur dil abhī se dhaḌak rahā hai

    kis ne vahshī 'asar' ko chheḌā

    dīvār se sar paTak rahā hai

    dil ishq ki mai se chhalak raha hai

    ek phul hai jo mahak raha hai

    aankhen kab ki baras chuki hain

    kaunda ab tak lapak raha hai

    ab aae bahaar ya na aae

    aankhon se lahu Tapak raha hai

    hai dur bahut zaman-e-wada

    aur dil abhi se dhaDak raha hai

    kis ne wahshi 'asar' ko chheDa

    diwar se sar paTak raha hai

    Source :
    • Book : Range-e-Gazal (Pg. 445)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now