dil itni kashakash se nikal jae to achchha
dil itnī kashākash se nikal jaa.e to achchhā
ye phuul kisī aag meñ jal jaa.e to achchhā
ma.ayūb jo lahje haiñ vo ma.atūb na hoñge
apnā hī ye andāz badal jaa.e to achchhā
insān ko insāñ hī kahā jaa.e to behtar
tashbīh-e-mah-o-mehr badal jaa.e to achchhā
be-nūr sitāroñ kī gavāhī ke bajā.e
mizhgāñ pe koī ashk machal jaa.e to achchhā
tarvīj-e-mohabbat ke liye sher kahūñgī
ye rog har ik zaat meñ pal jaa.e to achchhā
farsūda-ravī aisī ki ham ne bhī ye sochā
dil ku-e-malāmat se nikal jaa.e to achchhā
jis ne kabhī milne kī bhī parvā nahīñ kī hai
us tak jo 'nasīm' apnī ġhazal jaa.e to achchhā
dil itni kashakash se nikal jae to achchha
ye phul kisi aag mein jal jae to achchha
mayub jo lahje hain wo matub na honge
apna hi ye andaz badal jae to achchha
insan ko insan hi kaha jae to behtar
tashbih-e-mah-o-mehr badal jae to achchha
be-nur sitaron ki gawahi ke bajae
mizhgan pe koi ashk machal jae to achchha
tarwij-e-mohabbat ke liye sher kahungi
ye rog har ek zat mein pal jae to achchha
farsuda-rawi aisi ki hum ne bhi ye socha
dil ku-e-malamat se nikal jae to achchha
jis ne kabhi milne ki bhi parwa nahin ki hai
us tak jo 'nasim' apni ghazal jae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.