dil jala kar gaya to gaya ab kahan
dil jalā kar gayā to gayā ab kahāñ
ab nahīñ lag rahā dil mirā is jahāñ
bin tire ab sukūñ āye.gā kab mujhe
ab tirā ġham mujhe le chalā hai kahāñ
dil lagā kar batā mil gayā ab sukūñ
kab rahā bā-vafā rah gayā bas gumāñ
kab sadā rah sakā vo mirā dil-rubā
kar gayā vo mirā ik nayā sā ziyāñ
bujh rahā hai diyā ai mire ham-navā
sun sadā ab mirī aa.egā kab yahāñ
saath tere 'jamālī' salāmat raheñ
merī ye ājizī merā nām-o-nishāñ
dil jala kar gaya to gaya ab kahan
ab nahin lag raha dil mera is jahan
bin tere ab sukun aayega kab mujhe
ab tera gham mujhe le chala hai kahan
dil laga kar bata mil gaya ab sukun
kab raha ba-wafa rah gaya bas guman
kab sada rah saka wo mera dil-ruba
kar gaya wo mera ek naya sa ziyan
bujh raha hai diya ai mere ham-nawa
sun sada ab meri aaega kab yahan
sath tere 'jamali' salamat rahen
meri ye aajizi mera nam-o-nishan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.