dil jalta hai to jalne de aansu na baha fariyaad na kar
dil jalta hai to jalne de aansu na baha fariyaad na kar
Safdar Aah Sitapuri
MORE BYSafdar Aah Sitapuri
dil jaltā hai to jalne de aañsū na bahā fariyād na kar
tū parda-nashīñ kā āshiq hai yuuñ nām-e-vafā barbād na kar
ma.asūm nazar ke tiir chalā bismil ko bismil aur banā
ab sharm-o-hayā ke parde meñ yuuñ chhup chhup ke bedād na kar
ham aas lagā.e baiThe haiñ tum vā'da kar ke bhuul ga.e
yā sūrat aa ke dikhā jaao yā kah do ham ko yaad na kar
dil jalta hai to jalne de aansu na baha fariyaad na kar
tu parda-nashin ka aashiq hai yun nam-e-wafa barbaad na kar
masum nazar ke tir chala bismil ko bismil aur bana
ab sharm-o-haya ke parde mein yun chhup chhup ke bedad na kar
hum aas lagae baiThe hain tum wa'da kar ke bhul gae
ya surat aa ke dikha jao ya kah do hum ko yaad na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.