dil-jhil mein phenka hai teri yaad ne patthar
dil-jhīl meñ pheñkā hai tirī yaad ne patthar
sar se na guzar jaa.e koī mauj ubhar kar
ye phuul se ruḳh sarv se qad chāñd se paikar
halchal sī machā dete haiñ jazbāt ke andar
kuchh aur sitam aur sitam ai ġham-e-daurāñ
khulte haiñ baḌī der meñ insān ke jauhar
tū paas bhī itnā ki tujhe dekh na pā.ūñ
tū duur bhī itnā ki mirī soch se bāhar
maiñ kaun sī manzil ke liye garm-e-safar huuñ
chaltā nahīñ koī bhī mire naqsh-e-qadam par
ik tū ki tirā ek hī rishta hai jahāñ meñ
ik maiñ ki mire saiñkaḌoñ rishte haiñ zamīñ par
insāñ kā safar sū-e-qamar ḳhuub hai lekin
fitne na uThā.e ye kahīñ chāñd meñ jā kar
ai sub.h-e-tarab aa mirī āñkhoñ meñ samā jā
maġhmūm na kar jaa.eñ tujhe shaam ke manzar
kab tak vo kirā.e ke makānoñ meñ raheñge
'nusrat' jo banā sakte nahīñ apne liye ghar
dil-jhil mein phenka hai teri yaad ne patthar
sar se na guzar jae koi mauj ubhar kar
ye phul se ruKH sarw se qad chand se paikar
halchal si macha dete hain jazbaat ke andar
kuchh aur sitam aur sitam ai gham-e-dauran
khulte hain baDi der mein insan ke jauhar
tu pas bhi itna ki tujhe dekh na paun
tu dur bhi itna ki meri soch se bahar
main kaun si manzil ke liye garm-e-safar hun
chalta nahin koi bhi mere naqsh-e-qadam par
ek tu ki tera ek hi rishta hai jahan mein
ek main ki mere sainkaDon rishte hain zamin par
insan ka safar su-e-qamar KHub hai lekin
fitne na uThae ye kahin chand mein ja kar
ai subh-e-tarab aa meri aankhon mein sama ja
maghmum na kar jaen tujhe sham ke manzar
kab tak wo kirae ke makanon mein rahenge
'nusrat' jo bana sakte nahin apne liye ghar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.