dil jinko DhunDhta hai na-jaane kahan gae
dil jinko DhunDhta hai na-jaane kahan gae
Ambareen Haseeb ambar
MORE BYAmbareen Haseeb ambar
dil jin ko DhūñDhtā hai na-jāne kahāñ ga.e
ḳhvāb-o-ḳhayāl se vo zamāne kahāñ ga.e
mānūs bām-o-dar se nazar pūchhtī rahī
un meñ base vo log purāne kahāñ ga.e
us sarzamīñ se thī jo mohabbat vo kyā huī
bachchoñ ke lab pe the jo tarāne kahāñ ga.e
apnī ḳhatā pe sar ko jhukāyā hai aaj kyuuñ
azbar jo aap ko the bahāne kahāñ ga.e
patthar samā.atoñ se zabāñ guñg ho ga.ī
ham bhī ga.e to haal sunāne kahāñ ga.e
be-mahrī-e-yahāt tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
dekhe ga.e jo ḳhvāb suhāne kahāñ ga.e
bachpan saheliyāñ vo hama-vaqt kī hañsī
'amabar' vo zindagī ke ḳhazāne kahāñ ga.e
dil jin ko DhunDhta hai na-jaane kahan gae
KHwab-o-KHayal se wo zamane kahan gae
manus baam-o-dar se nazar puchhti rahi
un mein base wo log purane kahan gae
us sarzamin se thi jo mohabbat wo kya hui
bachchon ke lab pe the jo tarane kahan gae
apni KHata pe sar ko jhukaya hai aaj kyun
azbar jo aap ko the bahane kahan gae
patthar samaaton se zaban gung ho gai
hum bhi gae to haal sunane kahan gae
be-mahri-e-yahat tujhe kuchh KHabar bhi hai
dekhe gae jo KHwab suhane kahan gae
bachpan saheliyan wo hama-waqt ki hansi
'amabar' wo zindagi ke KHazane kahan gae
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 183)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.