dil jinko pujta tha wo gham jagte rahe
dil jin ko pūjtā thā vo ġham jāgte rahe
kal raat but-kade meñ sanam jāgte rahe
us vaqt bhī ki saarā zamāna thā mahv-e-ḳhvāb
ham vārisān-e-lauh-o-qalam jāgte rahe
luTte rahe haiñ shahr-e-nigārāñ meñ raat bhar
hālāñki ahl-e-dair-o-haram jāgte rahe
aatī rahī hameñ tirī aahaT tamām raat
sunte rahe sadā-e-qadam jāgte rahe
un se chhiḌī huī thiiñ unhī kī hikāyateñ
kal saarī raat ḳhvāb meñ ham jāgte rahe
uljhe rahe jo mere tasavvur se raat bhar
ḳhvābīda gesuoñ ke vo ḳham jāgte rahe
rātoñ ko ham ne yuuñ bhī kiyā din kabhī kabhī
piite rahe sharāb-e-alam jāgte rahe
chheḌī jo 'badr' ham ne shab-e-ġham kī dāstāñ
taare qarīb-e-dīda-e-nam jāgte rahe
dil jin ko pujta tha wo gham jagte rahe
kal raat but-kade mein sanam jagte rahe
us waqt bhi ki sara zamana tha mahw-e-KHwab
hum warisan-e-lauh-o-qalam jagte rahe
luTte rahe hain shahr-e-nigaran mein raat bhar
haalanki ahl-e-dair-o-haram jagte rahe
aati rahi hamein teri aahaT tamam raat
sunte rahe sada-e-qadam jagte rahe
un se chhiDi hui thin unhi ki hikayaten
kal sari raat KHwab mein hum jagte rahe
uljhe rahe jo mere tasawwur se raat bhar
KHwabida gesuon ke wo KHam jagte rahe
raaton ko hum ne yun bhi kiya din kabhi kabhi
pite rahe sharab-e-alam jagte rahe
chheDi jo 'badr' hum ne shab-e-gham ki dastan
tare qarib-e-dida-e-nam jagte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.