dil jis ka aaine ki tarah pak-saf hai
dil jis kā aa.ine kī tarah pāk-sāf hai
kyā baat hai zamāna usī ke ḳhilāf hai
vo shaḳhs kar rahā hai mohabbat kā qatl-e-ām
nafrat kā jis kī fikr pe har dam ġhilāf hai
sajda namāz-e-shauq kā kartī haiñ titliyāñ
dāman har ek gul kā bahut pāk-sāf hai
ham ne ḳhudā banā diyā jis ko tarāsh kar
vo sang-e-rāh aaj hamāre ḳhilāf hai
duniyā samajh rahī hai mujhe sāhib-e-zabāñ
merā bhī par durust kahāñ shiin qaaf hai
tū ho rahā hai lazzat-e-duniyā se shād-kām
'sābir' batā ye kaisā tirā etakāf hai
dil jis ka aaine ki tarah pak-saf hai
kya baat hai zamana usi ke KHilaf hai
wo shaKHs kar raha hai mohabbat ka qatl-e-am
nafrat ka jis ki fikr pe har dam ghilaf hai
sajda namaz-e-shauq ka karti hain titliyan
daman har ek gul ka bahut pak-saf hai
hum ne KHuda bana diya jis ko tarash kar
wo sang-e-rah aaj hamare KHilaf hai
duniya samajh rahi hai mujhe sahib-e-zaban
mera bhi par durust kahan shin qaf hai
tu ho raha hai lazzat-e-duniya se shad-kaam
'sabir' bata ye kaisa tera etakaf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.