dil jis se kanpta hai wo saat bhi aaegi
dil jis se kāñptā hai vo saa.at bhī aa.egī
vo aa.egā to koī musībat bhī aa.egī
maiñ aaj terī raah kā patthar sahī magar
kal tujh ko pesh merī zarūrat bhī aa.egī
jhele haiñ apnī jaan pe ham ne vo hādse
dil māntā nahīñ ki qayāmat bhī aa.egī
us kī kashīdgī kā sabab kuchh bhī ho magar
mujh ko gumāñ na thā ki ye naubat bhī aa.egī
ai rah-navard sāya-e-ashjār hī nahīñ
kuchh tere kaam dhuup kī hiddat bhī aa.egī
kyā fā.eda jo apnī safā.ī meñ kuchh kahūñ
maiñ jāntā thā mujh pe ye tohmat bhī aa.egī
dil jis se kanpta hai wo saat bhi aaegi
wo aaega to koi musibat bhi aaegi
main aaj teri rah ka patthar sahi magar
kal tujh ko pesh meri zarurat bhi aaegi
jhele hain apni jaan pe hum ne wo hadse
dil manta nahin ki qayamat bhi aaegi
us ki kashidgi ka sabab kuchh bhi ho magar
mujh ko guman na tha ki ye naubat bhi aaegi
ai rah-naward saya-e-ashjar hi nahin
kuchh tere kaam dhup ki hiddat bhi aaegi
kya faeda jo apni safai mein kuchh kahun
main jaanta tha mujh pe ye tohmat bhi aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.